Youtube Videos Ka Watchtime Kaise Badhaye? - Apko Koi Nhi Btayega

Google pe apko bahut se post mil jayenge jo apko Youtube videos ka watchtime kaise badhaye? iski jankari denge lekin sach kahu to jadatar log yahi purana suna sunaya gyan dete hai. Proven chize koi explain nhi karta. Isliye mene socha ki me apko apna real experiance share karu. Me apko is post ke jariye full details me watchtime ko increase karne ki tips dunga joki mere experience per adharit hai. Aapse meri ek hi vinati hai ki aap is post ko dhyan se pdhe or Ise apne youtube videos pe laagu kare.

Youtube Wachtime Kya Hain?

Sabse pehle apko ye samjna hoga ki youtube watchtime kaise work karta hai.Watchtime matlab jab koi vykti apki youtube videos ko dekhta hai or jitna samy us video ko dekhne me bitata hai usko youtube watchtime kahte hai.

Watchtime Ka Base Kya hain?

Watchtime ka base interest hai. Jis topic per videos ko bnaya gya hai usme viewers ka interest hona jaruri hai. Ab sidhi si baat hai ki users videos thumbnail or tittile ke base per judge karte hain or video dekhte hain. Thumbnail or video tittle ek promise hai, jo apne apne viewers se kiya hai, lekin agar aapne video ka thumbnail kuch or bnaya hai or dikahya kuch or hi hai to viewers videos ko chodkar chala jayega. Kahne ka matalb ye hai ki watchtime tabhi badega jab videos me sahi jankari hogi. Video me dum hoga.

Watchtime Kaise Badta Hain?



Watchtime badane ke kai aise trick hai jo apko short term or log term fayda dete hai lekin me humesh long term gain me vishwas rakhne wala vykti hun. Kuch log youtube video ke watchtime ko increase karne ke liye time paas karte hai jese( Video ko like karo, subscribe kro etc.) Fir video ke main topic ko chodkar duniya bhar ki baate karke time paas karte hai or last me jo main topic hota hai uske upper kuch ghisi pitti jankari dekar end kar dete hai. No doubt ki isse watch badta hai, lekin mere dost aisa karne ke log dusri baar apke videos ko nhi dekhte hai. To iss chiz ko me short term tarika manta hu, or ye pratice lagbhag har youtube karta hai. Lekin jara aap hi sochiye kya aap dusri baar aise videos dekhnege?

Khud Ko Puche Sawal-

Videos ko bnane ke or edit karne ke baad khud us video ko dekhe or apne aap se sawal puche ki kya ye videos perfact hai. Vese apko perfact hi lagega lekin ye dekhe ki aapne jis topic pe video ko bnaya hai, kya vah topic cover ho rha hai. kya aap dusro se behatr chiz ko explain kar rahe hai? agar apka jawab haa hai to aapki video best hain.

Youtube Videos Watchtime Increase Karne Ke Tips-

1) Main topic ko pakkd ke rakhe:

Jis topic pe video ko bna rahe hai us topic ko pure video me pkkad ke rakhe, duniya bhar ki baate naa kare, sirf mudde ki baat kare. 

2) Slide Show Se bache-

Slide show matalb photo wale videos kam bnaaye, videos me actual ya Sample videos (copyright free) ka upyog kare, isse viewers kam bor hote hain.

3) Bhik na Mange-

Technology ke jamane me puri duniya ko Like or subscribe karna aa chuka hai iskiye in chizo ki bhik naa mange, kyoki ye bahut irritating lagta hai.

4) Faltu Baate Na Kare-

Youtube me aajkal competition jada hai or logo ke paas bhi jada time nhi hota hai. Ek simple chiz ye hai ki viewers ko sirf unki jankari se matlab hai vo apko nhi apke knowledge,information ko sunna chahte hai isliye kabhi topic se bahar ki baate videos me naa kare varna viewers skip kar denge.

5) Videos Ko Simple Banye-

Videos ko simple bnane ke liye aap script bnakar uski practice kare fir explain kare, hadbadi me na bole varna apka confidence down hoga jo log apki videos nhi dekhnge.

6) Introduction of topic-

Video chalu hote hi topic ki jankari de brief me, Ki aap kya explain karne jaa rahe hai jisse ki users ka interest badega.

Dosto likhne ko mere paas ese bahut point hai lekin me apko short shbado me kahna chhata hu ki videos me professionalism ka istemaal kare. logo ko bor naa kare, mudde ki baat kare. Ho sakta hai ki shuraati samay me apko thoda problem hogi, views kam aayenge lekin mera yakin maniye jab aap in chizo per focus karenge to apka watchtime dusre ke mukable jadi badega, video ki rank automatic badne lagegi jisse youtube videos reach bhi increase hogi or ek din aap ek successful youtuber ban jaoge.

Agar apka koi sawal hai to niche comment karke jarur btaye, me apki help jarur karunga. Filhal samay ki kami ho dekhte hue me is post ko yahi samapt karta hun lekin mene yotube per or bhi post is blog per likhi hai vo bhi aap pdh sakte ho.

Ye Bhi Padhe-

1) Youtube Videos Ko Viral Karne Ki Full Jankari (101% Working)

2) How To Grow On Youtube Very Fast- Hindi Me Jankari

3) Youtube Per Successful Hona Hain To Ye 5 Baate Yaad Rakhe 

4) Youtube Per Videos Upload Karke Paise Kaise Kamaye?

Umiid karta hu ki aap in post ko bhi padhenge or apni zindgi me grow karenge.

No comments:

Powered by Blogger.