How To Grow On Youtube Very Fast Hindi | Jaldi Se Youtube Channel Ki Growth Kaise Kare?
Accha to aap youtube channel grow karna chahte hai. To is post ko thoda dhyan se jarur padhna kyoki me apko completely youtube tips dene wala hu, jisse aap bahut kam samay me youtube pe growth kar sakenge.
Ye Tips apko humesha yaad rakhni chahiye!
1) Ek topic per focus kare-
Agar aap jaldi se new channel ko grow karne ka soch rahe hai, to ek topic per hi focus kare. Aisa karne se subscribers or views jaldi badti hai.
For Example: Technology wale kai youtube channel hai lekin unke topics different hote hai. Koi youtuber mobile unboxing karta hai to koi sirf Tech news video banate hai.
To Aise hi apko bhi koi ek topic select karke usi topic per videos bnani hai. jada nhi to 1 month tak sirf kisi ek topic per hi videos bnane ki koish kare!
2) 90 dino tak subcribers bhul jaye-
Jab hum first time youtube channel bnate hai to subcribers badane ki bahut iccha hoti hai, isiliye kai youtubers apni videos me baar baar bolte rehte hai "ki humare channel ko subcribe jarur karna" lekin isse log ka dhyan bhtakta hai.
Agar apka content accha hoga to log apne aap apke youtube channel ko Subscribe kar lenge. Isliye 90 dino tak subcribers per jada dhyan naa de.
3) Ek hi tag ka use mat kare-
Tag video ko rank karne me bahut help karte hai, yadi aap bhi video ko rank karna chahte hai to sirf ek tag ka use mat kare. Aap video me jada se jada related tag input kare jo SEO me bhi help karte hai.
4) 24hr me social media share kare-
Video Published hone ke 24hr me social media per share kyoki vaha ka traffic valid hai. Jisse recommandation bhi badti hai.
5) Thumbnail hi sab kuch hai-
Video ka thumbnail hi first impression creats karta hai isliye thumbnail aisa teyaar kare jo logo ko dekhte hi attract kare!
90% Video views badne ka reason video thumbnail hi hota hai, halaki iske baad yadi apke content me dum hoga to log us video ko aage dekhenge.
6) Apna Introduction naa de to behtar hai-
Video me jadatar log apne channel ya self intro dete hai, jo kaafi khraab lagta hai ! baar baar ek hi introduction logo ko irritate karta hai, isliye sidhe main topic per hi video banaye!
Umiid hai jankari apke liye upyogi hogi, Agar kuch sawal hai to comment jarur kare!
No comments: