Thursday, January 23 2025

Youtube Per Successful hona chahte to ye 5 bate humesha yaad rakhe {HindiMeJankari}

Youtube duniya ka dusra sabse jada search kiya jane wala platform hai jaha lakho log video share karke online income karte hai. Is baat me koi shak nhi hai ki youtube ek best platform hai paise kmane ka, lekin youtube per successful hone ke liye apko ye 5 bate humesha hi dimag me bethaye rkhni hogi, tabhi aap online paise kama sakoge.
Jadatar log youtube per isliye video share karte hai taki ve acchi si kamayi kar sake, halaki ye baat galat nhi hai lekin apka primary(pehela) goal paisa kamana nhi balki acche se accha content produce karna hai tabhi log apko pasnd karenge or apke channel ki growth ho sakegi to chaliye jaldi se me apko btata hu ve 5 khas bate jo youtube per kaam karte samy yaad rkhni chahiye.

1) Ek Topic:
Apko aisa topic select karna hai jisme ya to aap mahir ho athwa apko us topic per kaam karne me maza aata hai.yadi aap aise topic ko chun lete ho jiske uper apko jabardasti kaam karna pad raha hai to yakin maniye aap kuch samy ke baad youtube se bor ho jayenge, isliye humesha hi ek topic ko chun lijiye or usi ke uper video banana shru kar de. 

Example ke liye: agar aap Tech topic chun rahe hai to apko sirf tech se judi hi video banani hai, kyoki jo log apko youtube per subscribe karenge unhe tech ki video dekhna pasnd hoga. Matalab ki apko koi bhi ek catogary ko chun lena hai or usi per kaam karna hai.


2) Continous Videos:
Jab aap youtube ko join kare to apka ek shedule bana de or usi ke hisaab se roj ya week ya month me ek video bnaye, or agar ho sake to apke subscriber ko btaye ki aap kab video uplaod karenge jisse jab bhi apki video aayegi to turnt ve bina notification ke aaye bhi dekh lenge.

Apko jisme chiz me kaam karne me maza aata hai usi per video bnao, kyoki aisa karne se apko vah kaam karne me jada maza bhi ayega or continous kaam bhi kar sakoge.

3) Tag (Keywords):
Youtube per kaam karne se phele unki guidline ko jarur pdh lena chahiye, tag ek aisi chiz hai jiski madd se apki video search me aane lagti hai. Jab aap youtube per koi video upload karte hai to niche tag add karne ka option milta hai, vaha apko sirf video se jude hue tag hi lagane hai.

Example: Jaise Meri Video ka tittle hai "Youtube video per views kaise laaye"
Ab is tittle ke liye tag kuch is tarh se banaye jaa sakte hai {Youtube traffic, kaise, bdhaye, views, youtubetips, hindi} ummid hai aap samaj gaye honge, lekin ek chiz humesha yaad rkhna ki kabhi bhi galat tag ka upyog mat karna varna community guidline strike aa sakti hai.

4) Thumbnail:
Youtube videos per views laaane ka 80% kaam thumbnails ka hi hota hai, galat thumbnail apke video ki low views ka karan ban skta hai. Jab bhi aap thumbnail bnaye to dhyaan rakhe ki usme vahi chize likhe jo aapne video ke andar explain ki hai. Fake thumbnail banane se view to mil sakte hai, lekin log apki video ko dobara nhi dekhenge matalab ki ho skta hai ki aage se apke uper koi bhrosa naa kare.

5) Short Message:
Logo ko jada lambi video dekhna pasnd nhi hai isliye ho sake to video ko 5 se 7 minutes tak ka hi banaye or itni video ke andar full information dene ki adat dale. Logo ko pasnd nhi hai ki koi unka samy barbad kare isliye baar baar topic ko ghumana, subscribe ke liye kehna ye sab irritate karta hai.

Ummid hai apko meri batayi yah jankari kaam lagegi. yadi apka koi sawal hai to niche comment karke jarur btaye me apko puri madad karne ki kosis karunga.

2) Youtube ke 10 Golden rules jo apko koi nhi btayega


Search Keyword: Youtube,views,traffic,paise,online income,earning,tips,hindi,help,successful youtubers!


Leave a Comment

No comments:

Powered by Blogger.