Youtube Video Ko Viral Karne Ki Full Jankari Hindi Me In 2019- Janiye Kaise? (101% Working Tips)
Youtube world ka best video creating and online earning ka jariya ban chuka hai, aapne bahut si video ko ek din me youtube per viral hote hue dekha hoga. Aaj ki is post me apko kai research karne ke baad tips share karne jaa raha hu, jo youtube video ko viral karne me madad karenge isliye is post ko jara dhayn ne samjne ki kosis kariyega.
Youtube Per Videos Viral Kaise Kare?
Aaj me apko step by step video ko viral karne ki tips dene jaa raha hu to niche btaye gye sabhi point ko dhyan se padhe.
Keyword Research Kare:
Apko jis topic per video bnani hai uski research kare, ye reaserch apko video tittle dene me helpful hogi. Keyword ese rakhe jiske uper jada traffic naa ho, iske liye aap tubebuddy.com ki help le sakte hai. yaha jab aap apne topic ka naam daloge to apko yah bta dega ki is topic per video bnanni chhaiye ya nhi. Apko low traffic wale keyword ka istemal karna hai.
Video Thumbnails:
New youtube creators ke liye thumbnail yani ki jo video ka photo hota hai vo bahut mayne rkhta hai. Bhle ki yadi apke millions youtube subscribers hai, lekin apke video ka thumbnail attreactive nhi hoga to log apki video ko shayd nhi dekhenge. Isliye video bnane ka 50% kaam thumbnail bnane me lgaye kyoki yahi chiz logo ko apke video dekhne ke liye akarshit karti hai.
Video Kab Publish Kare:
Youtube pe video dalne ka ek samy decide kare or usi samy per video ko publish kare, ho sake to video ko subah 5 baje publish kare, kyoki vaha se 24hours me traffic aane ke chances jada rehte hai. Ek report ke anusar Dophar ke 12 bje se 3 bje ke bich sabse jada traffic youtube per aata hai.
Content Hi King:
Video thumbnail or tittle logo ko apki video dekhene ke liye attract jarur karta hai, lekin watchtime tabhi bdega jab apki video ka content accha hoga isliye humesa research karne ke baad hi video bnaye, kyoki watch time ke bina apka video recommand hona muskil hai.
Ye bhi pdhe: Youtube Per Successful Hone Ke 5 Tips
Yadi Aap itni bato ko follow karte hai to jald hi apki video viral hone ke chances bad jayege lekin iske alawa apko keyword,tags per bhi dhyan dena hai jisse apki video youtube serach engine me rank karne lge.
Umiid hai apko jankari upyogi lagi hogi, yadi koi sawal hai video viral karne se juda hua to niche comment karke jarur btaye.
No comments: