About Me


Hello friends Me Mahendra Mali Is blog Ka founder hu , mene ye blog August 2015 me jab me college ke final year me tha tab internet or Friends se inspire hoker banaya tha, Computer or Mobile me to bachpan se hi interest tha ,Abi Me google free service pe blogging karta hu.jab mene blogger pe account bnaya tha tab muje Jada knowledge nhi tha.issliye niras home kai baar blogging pe offline ho gya.
Lekin kuch din baad muje Google AdSense Se Mail Aya Ki mera AdSense account approve ho chuka hai
Blogger per 6-7 Months ke baad mera AdSense approve hua, Tab meri khusi doguni ho gya,abi partime blogging karta hu,

About Bloghelp0 -



Suraat me is blog per na ke barabrer traffic tha fir solely solely post ke sath traffic bhi increase hua. bloghelp0 ka monthly pagviews 8000 To 9000 ke around hai. Abi me free template Idea mag use karta hu Jo seo friendly fast loaded hai isme thodi bohat editing bhi ki Gyi hai.

Our Goal -

Humara maksad sirf logo ki internet se Judi help karna hai or right content produce kar logo ki help karna hai,apko humare niche se related koi help chaiye to hum apki puri help Karne ki kosis karege.Regular update ke liye ap email se subscribe ya Humare Facebook group me add ho sakte ho...
Agar ap apne blog ka advertise kar traffic badna chahte ho to bloghelp0 per Guest Post bhi bhej sakte ho

Message To All New Blogger -




Dosto Agar ap blogging se really Paise earn karna chahte ho to blogger.com best free service hai yaha apko sab kuch shikhne ke sath online income opportunity milti hai Iske baad ap chahe to WordPress per apne blog ko shift karle jaha full control ke sath itni income ki ja sakti hai ki apko job karne ki koi jarurat nhi padegi ,lekin ye sab ke liye apko hard work karna hoga kyoki mere hisab se ye bohat easy bhi nhi hai ,abi newbie hai to Quality content apne blog per post karne ki kosis kare or dhire dhire blogging ki starting kare. 100% Sure Apko blogger se bohat kuch shikhne or samjne milega,Agar apko Computer,Coding,internet ka full knowledge hai to WordPress se suruaat kar sakte ho WordPress ki Jada jankari ke liye ap WordPress review bi dekh sakte ho


No comments:

Powered by Blogger.