Blogger(Blogspot) Ki Post Ko Copy Or Paste Hone Se Kaise Roke In Hindi( 101% Working Tips)
Free me website/blog banakar online paise kamane ke liye blogger best platform mana jata hai kyoki yah google ka platform hai or yaha apko sabhi chize free of cost mil jati hai, lekin blogger per blog banane ke baad sabse badi dikkat aati hai- blog post copy hone ka khatra kyoki humare dwara share ki gyi jankari koi bhi dekh skta hai or isko chura bhi sakta hai.
Ye bhi pdhe: Akhir kyu blogger per traffic nhi aa raha hai?
Yadi aapka bhi blog hai or uske uper apne bahut sari unique jankari post ki hai to yah jaruri hai ki aap use chori(copy and paste) hone se bachaye. Me apko bahut hi asana tarike se batane wala hu ki kis prkar aap apni jankari yani ki blog post ko copy hone se rok sakte hai.
Mera yah blog kafi lambe samay se blogspot per active hai or lagbhag 2 sal hone ke bavjud mene abhi tak domain nhi liya hai, lekin blogger ki sabse badi problem yahi hoti hai ki unki post koi or chura le jata hai to chaliye jante hai ki kis tarah se blog post ko copy hone se bachaye.
Blog Post Ko Copy Hone Se Kaise Bachaye?
Yaha kaafi asan tarika hai jo me apko batane jaa raha hu, yadi apko kuch bhi samaj nhi aaye, to niche comment karke jarur batana.
Step:1
Sabse pehele blogger.com ko open karke vaha theme option me jaye or uske baad Edit Html per click krna hai.
Step:2
Yaha apke blog ki tamplate open hogi yaha puri html coding likhi gyi hogi. dhayn rahe ki apko us coding me koi ched chad nhi karni hai. Coding me ek bhi wrong changes hua to html tamplate save nhi hogi.
Step:3
HTML coding me apko Pc ya laptop ki madad se Ctrl F dabana hai, iske baad apko </header> athwa </body> search karna hai. or iske piche niche batayi gyi javascript coding ko jod dena hai.
(Note: Agar aapke paas laptop nhi hai ya mobile se blogging karte hai to HTML editor ki application playstore se download kar lijiye or usme apke blog ki theme ko edit karke ye step3 follow kar sakte ho)
Blog Post Copy disable javascript code:
<!-- Start mozedia disable copy paste code -->
<script type='text/javascript'>
if (typeof document.onselectstart != "undefined") {
document.onselectstart = new Function("return false");
} else {
document.onmousedown = new Function("return false");
document.onmouseup = new Function("return false");
}
</script>
<!-- End mozedia disable copy paste code -->
Dosto yaha jo mene red colour me javascript share ki hai isko aap html me add kare, iske baad Save Theme per click kar de!
Itna karne ke baad apke blog ki sari post secure ho jayegi koi bhi insan apki post ko copy nhi kar payega. To dosto ummid hai apko meri yah jankari pasnd aayi hogi, yadi koi sawal hai to niche comment karke jarur bataye!
Ye bhi padhe: Blogger per killer seo friendly post kaise likhe?
hum ek dusre ki helf karke aage nikal sakte hai, agar koi aapni website ki earning barana chata hai toh humari website me visit karke aur comment kare yes,
ReplyDeleteniche mai aapni website ki link de rha hun.
mera website ka naam hai, > hindigayan.online
https://www.hindigayan.online/2019/05/iball-new-laptop-12990-free.html