Whatsapp Ke Status Bina Software Ke Download Kaise Kare? (100% Working)
Whatsapp aaj ke samy me har kisi vykti ki jarurat ban chuka hai, ye sirf chating tak hi simit naa hokar logo ke entertainment ka jariya ban chuka hai. Aaj ki is post me hum apko batane jaa rahe hai ki Whatsapp ke status bina kisi softwere ki madad ke download kaise kar sakte hai? dosto jo trick me apko btane jaa raha hu iske liye apko internet data bhi kharch nhi karna padega.
Whatsapp per jo status or videos upload hoti hai unhe sirf 24 ghnte tak dekha ja sakta hai or uske baad ye automatic profile se delete ho jate hai. Kai baar hume friends ke status bahut pasnd aa jate hai or fir hum unhe ve status bhejne ko kahte hai lekin is trick ko janne ke baad aap khud unhe bina btaye status download kar lenge.
Whatsapp ke status ko download karne ke liye apko koi application ya softwere install nhi karna hai. apko sirf apne mobile me thodi si setting ko samjna hai uske baad aap asani se status download kar payenge to chaliye shuru karte hai.
Me apko whatsapp status download karne ke liye steps by step btane jaa raha hu jisse aap asani se iske samaj sakenge.
Step:1
Whatsapp status download karne ke liye apko apne mobile me File manger option me jana hai. yaha per sabhi application,photos, videos ka data store rehta hai.
Step:2
Yaha internal storage ka data hoga jisme apko whatsapp ka folder dhundhna hai, yadi whatsapp ka folder nhi mil raha hai to search karke khoj le.
Step:3
Whatsapp ke folder me jane ke baad apko media ka folder milega jisko open karna hoga. yaha bahut sari download ki gyi whatsapp videos or photo mil jayegi.
Step:4
Iske baad apko mobile me setting ka option milega ya fir mobile screen per tap milegi vaha Show hidden files likha hua dikhega, ab us tab per click karna hai.
Step:5
Jaise hi aap show hidden file per click karnege to apko .status likha hua folder mil jayega or us folder ke andar apke dwara dekhe gye friends ke sare status open ho jayenge.
Aap unhe dusre folder me move kar skate ho athwa unka istemal shuru kar sakte ho! Ummid hai apko meri yah jankari pasnd aayi hogi, yadi apka koi sawal hai to niche comment karke jarur btaye me apki puri help karunga !
No comments: