YouTube Se Video Banakar Paise Kaise Kmaye ?
YouTube pe aap videos dekhte hi honge , You tube pe video share karne Wale humare jaise hi log hote hai. Jo apni videos khud create kar share karte hai. Or ye sab koi free me nhi karta , Iske liye unko paise bhi milte hai. To chaliye dosto ab hum YouTube Se Income Kaise ki jaye? Isko thoda deep me janege.
YouTube Google ka tool hai , Jaha users free videos share karte hai,
Jab koi user apki uploaded video ko dekta hai uske badle apko paise milte hai. Video ko share karne ke liye youtube ke kuch rules ko follow karna hota hai, vo rules kya hai ?
1) Copyright Videos -
Youtube pe aap videos copy kiye gye upload nhi kar sakte ho.videos copy karne pe youtube apke account ko disabled kar deta hai. Isssliye ye baat ka dhyan rakhe.
2) Copyright Songs -
Videos me koi movie songs ya Jo YouTube me already uploaded song hai , usko use nhi kar sakte hai, lekin ap song ko edit karke use kar sakte ho.
3) Self Clicking -
YouTube ads pe khud click kabhi Na kre, or Na hi kisi Ko advertisement pe click karne ka suggestion de, Varna apka account humesa Ke liye banned ho sakta hai.
YouTube account bnane Ke liye apko youtube.com pe jakar login karna hai , Agar apka Gmail I'd hai to , or nhi hai to Gmail I'd bana kar login kare.
Upload karne ke baad video YouTube me update ho jayegi , ap link ke through ya search karke videos ko check kar sakte ho.
YouTube me videos ko upload karne ke baad jab us me logo ki view badne Lage to apko video ko monitize karna hai.
Monitize karne ke liye apko Adsense account banan hota hai , uske baad apki videos pe advertisement suru ho jata hai.
Aap Apne hisab se advertisement select kar sakte ho. Ab baat karte hai income ki.
YouTube users ko apki videos se phele ya bich me Jo ads dikhayi deti hai, uspe koi click karta hai to apko Adsense uske paise deta hai. Vo sab paise apke Adsense account me jate hai.
Normally Adsense ek click pe 0.02$ - 10$ deta hai. Jab apke Adsense me 100$ (6300$) ho jate hai ,to Adsense apke bank account/PayPal/check se paise pay karta hai.
YouTube Pe Earning Kaise Hoti Hai ?
Jab koi viewer apke videos ko dekhte time ads pe Click karta hai , to apko uske paise milte hai.
Example Ke liye koi viewer ne apke video pe click kiya jiska apko 0.50$ mila. Means
0.50$ × 62 ₹ = 31 ₹ ek click
Jaise jaise apki view increase hoti jaygi apki income bhi increase hogi. Friends bohat se Youtubers hai Jo daily ₹5000 se bhi jayda income karte hai. Different sirf itna hai ki humko apni skill ko right place pe use karna nhi ata hai.
So in short me apko btana chahunga ki apki Video me dum hona chahiye , apko kuch different karne hoga.
Tips -
Suru-Suru me apko bohat kuch shikhne or samjne milega , lekin jaise jaise ap usko samjte chale jaoge, Future me aap youtube se itna income kar longe , Jo Apne kabhi sapne me nhi socha hoga.
Me apko aage bhi youtube,blogging se related jankari deta rahunga. Apko kuch help chaiye to comment kare
Or anewale article ko padne Ke liye Humara Facebook page like karna Na bhule. 😊
No comments: