Zero Investment Business Ideas Jaha Apko Good Profit Mil Sakta Hai !

Hello everyone...





          Log business karne ke liye sochte jarur hai , lekin investment ki problem ko dekhte hue, ve business nhi kar pate hai. Her business ideas ki starting thode se hoti hai. Lekin dhere-dhere experience se increment ho jata hai. Aaj me apke samne business karne great ideas Ke sath aya hu.









   Firstly Business karne ke liye humko konse resources ki requirement hai , uske bare me sochna hota hai.

1) Killer Business Ideas -


Aap Jo bhi kaam karna chahta ho , uska idea / planning hona jaruri hai. Agar apko kuch alag kaam karna hai , to kuch alag sochna bhi hoga. 
          Sabse bdi baat ye soch sakte hai ,ki humare paas kaisa environment hai?, Logo ka interest konse product me hai?, Esa work/service jiski demand logo ko humesa Rehti ho.
          Ye think apke mind me chalti rahni chaiye. Jab apko ye sab sawalo Ke answer mill jaye to unko amal me Lana suru kar de. Apni awareness ko vo kaam Ke piche lgaye.






2) Find Your Work Place -


Agar apko koi kaam karna hai, to uske liye right place ki bhi jarurat hogi , lekin right place ko Kaise dhunde ? Ye question ka answer bhi apke paas hi hai.
        Business ya shop ko chalane Ke liye market ki jarurat hoti hai. Or market me jayda se jayda customers apko mill jate hai.

Maan lo ki apko ek Mobile repairing shop open karni hai, to apko vo place search karni hai , jaha public ka rush hota ho & vo area me dur-dur tak same shop nhi ho.




    Agar apka business budget low hai, to aap yehi kaam ghar Bethe bhi kar sakte ho , or jab dhere-dhere apki income chalu ho jaye to ap shop rent le sakte ho.

3) Quality Of Service/Work -


Aap Jo bhi kaam start kar rahe ho, firstly apko uski quality pe dhyan Dena hoga. Tabhi log apki service ko pasand karenge.
Kyoki fraud kaam Jada time nhi chalta.

Example Ke liye Koi retailer customer ko 300₹ ki product sell karne ke liye wrong information deta hai , to ek Baar uski product sell ho sakte hai, lekin dusri baar vo customer vaha se kabhi purchase karea Nhi !

Image Credit- pixabay.com


4) Increase Your Business Budget -


Business Jab accha performance karne lge , tab apko jarurat hai ki aap Apne business investment ko Badaye. Kyoki ye apko or aage successful banaya chala jayega. Jab apka budget badh jayega to workers bhi badenge. Jisse kaam divided ho jayega. Apko work management karne ki acchi knowledge milti chali jayegi.

    Jaruri nhi hai , degree Lene Wale hi management ya business karte hai. Business karne ke liye degree se Jada experience ki jarurat hoti hai or vo milta hai apko kaam karne pe. World me apko lackho businessman mill jayenge,  Jo sirf 12th tak hi study kiye hue hai. Lekin Agar apko best job opportunities chaiye to apko degree ki jarurat hai.

5) And Get Profit -




Profit earn karna kisko accha nhi lagta? Sabhi ka ultimate goal Earning hi lekin way sahi hogi to profit bhi sahi milega.

Log humesa profit pe Jor dete hai , jiske karan vo baki ki chizo pe Jada dhyan nhi de pate hai or unko loss ka Samna karna padta hai.

Apko humara article accha lga ho to isko share jarur kre, or Jada post update ke liye Facebook page ko like kre.

No comments:

Powered by Blogger.