Best Seo Tool And Ideas To Boost Your Blog Traffic- Hindi
Beginning me blog pe less traffic ko face karna padta hai, apko suddenly traffic nhi mill sakta hai. Abi Apne Blogging ki starting hi ki hai, to ho sakta hai ki , Seo word apke liye new ho. Lekin every success blog Ke back me search engine optimisation ka bohat yogdaan hota hai.
Blogger pe traffic increase hone ke liye apko quality content produce karna hota hai, ab baat karte hai ,ki quality content kaise write karte hai ?
What Quality Content ?
Quality content ka Simple Matlab hota hai
"Imandari se likhi gyi post"
Shayed apko meri baat pe hasi aye , lekin me ye baat ko prove kar sakta hu..
Me apko Jo bta raha hu , vo experience or information Ke base pe bta raha hu.
Geniune Content likhne Ke liye ye points useful hote hai-
1) Write Content For Visitors , Not For Search Engine -
Agar ap successful Blogger ki earning ko dekhkar Blogging Karne ki soch rahe ho , to sayed ap success nhi ho sakoge. Kyoki Blogging apko ek din me millionaire nhi bna sakti.
Kuch beginner search engine ko dhyan me lekar post write karte hai. isme hota ye hai ki , unki post to search engine me high rank pe aa jati hai, lekin vo content kisi visitor Ke liye useful nhi hota hai. Iska main reason hai ,ki vo search engine me post ko lane me Lage rahte hai.
Post ki ranking increase karna fault nhi hai, lekin vo post visitors Ke liye upyogi Honi bhi jaruri hai.
Agar ap post ko users ki help,information Dene Ke liye Write karoge to , automatically blog me traffic increase hone lag jayega. Apko high keywords find karne ki koi jarurat hi nhi hogi
2) Don't Confuse Your Visitor -
Blogging ka pura concept visitors pe depended hai. Unko jayda confusion se dur rakhe.Blog traffic ko increase karne me ye points ko dhyan me rakhe..👉 Simple Words ka use kare , Jo daily Upyog me liye jate ho.
👉 Information Ko Share Karne Se phele check kare uske bare me jankari le.
👉 Google & Adsense Policy ko follow karte hue post kre
👉 Jayda Keywords ka use Na kre.
3) Internal Link Building -
Ek post me dusri post ki link ko share karna , Jisse website pe traffic ko badaya ja sakta hai. Internal link ek traffic generation Ke sath users ko kisi article se related jayda jankari de sakta hai.Example Ke liye - Agar Ap seo Ke related post likhte hai. Usme ap search engine optimisation se Jude dusre post bi share kar sakte ho.
4) Real Traffic -
Traffic blog pe bohat source se ate hai, like fb,twitter,paid etc. Lekin best organic traffic vo hai , Jo Search Engine se mil raha ho, kyoki iska Matlab hua ,ki apke blog ka performance & ranking high hai.Dusra profit ye hai ,ki apko new traffic bi milta rahega jiska direct apki earning se relation rehta hai.
Blog link ko social media pe share karna best way hai, lekin Google & Bing traffic ki value usse Kai Jada hai
5) Follow Google Adsense Policy-
Adsense is best way to earn money but ye sab karne ke liye apko google Adsense policy ko follow karna hoga. Chaliye Google Adsense ki primary condition ko smajte hai👉 Blog Pe harmful content ka use nhi kre
👉 Template/theme ko ads friendly & well mentioned rakhe
👉 Ads pe click karne ki advice kisi Ko nhi de.
👉 Adsense ads ka placement right jagah pe karo.
6) Always Use Seo Friendly Image -
Blog me upyog ki gyi Img ko seo friendly bnane Ke liye, photo editor se edit karke Apne hisab se use kare.
Copyright image ko avoid kre. Free images download karne ke liye pixabay site ka use kre.
Article accha lge to social media pe bi share kre.
Blogging related help Ke liye comment kare
Related -
Blogger Template Ko Mobile Se Kaise Edit & Update Kre ?
Affiliate Marketing Kya Hai ?
Blogger Ki All Post Ke Bich Adsense Ads Kaise Lgaye ?
No comments: