Kisi Bhi Smartphone Ka Lock Pattern Kaise Tode Mobile Se In Hindi (1001% Working Trick)
Aaj ki post me hum sikhenge ki kis trah se mobile ka lock tod sakte hai? How to unlock mobile pattern lock in hindi 2019.
Kai baar hum phone me password ya pattern lga kar bhul jate hai, or aisi condition me hume mobile repairing wale ki help leni padti hai lekin aaj ki is post me, Me apko btane wala ki kis trah se aap mobile se lock tod sakte hai.
Agar aapne mobile phone me email backup dala hai to locked mobile me wifi on karke email se password reset kiya jaa sakta hain. lekin agar apko email id ka password bhi yaad nhi hai to aap phone ko hard reset kar sakte hai.
Hard Reset Kaise Karte Hai?
Hard reset marne se mobile phone ka sara data puri tarah se delete ho jata hai. Aap aisa samaj le ki hard reset marne se mobile ekdum naye jaisa ho jata hai or aap asani se android phone ka lock tod skate hai, to chaliye jaldi se apko step by step puri jankari bata deta hu ki kis prkar phone ko hard reset(factory reset) maar sakte hai.
Mobile Pattern Lock Password Kaise Tode?
Step1
Mobile Lock todne ke liye sabse phele phone ko band kar le or uske baad mobile ki battery ko nikaal kar vaps andar daal de.
Step2
Ab apko phone me Power button+Home button+Volume Up button ko ek sath dabana hai. (Volume up matalab jisse aap phone ki volume tej karte hai.) Jada Janne ke liye niche diya gya photo dekhe.
Step3
Itna hone ke baad apke phone ki screen per Android System Recovery Mode chalu hoga or yaha touch kaam nhi karegi, isliye apko volume up/Down karke hi aage ke steps ko pura karna hoga.
Yaha apko volume up/down button ki help se wipe data/factory reset per click karna hai."Ok" button ke liye apko Power button ka upyog karna hai.
Iske baad screen per apko niche batya gya image dikhega, yaha apko Yes--delete all user data per click karna hai(ok ki jagah POwer button ka use karen).
Step6
Ab data wipe pura hone tak apko kuch samy tak intzaar karna hoga.Ye pura hone ke baad apka phone automatic reboot hone lag jayega.
Dhayn de: Kai baar phone automatic reboot nhi hota to aise me apko Reboot Now per click karna hai or iske liye power button ko press karna hai.
Bus itna karne ke baad apka phone reboot ho jayega, yani ki bina password ke aap mobile ka lock tod skaenge.
No comments: