Gmail Free Storage Ek Sath Clean Up Kaise Kare?

Gmail ka istemal har koi karta hai, Individual person se lekar bade business man bhi free Gmail ka upyog karte aaye hai, joki google ki free service hai. Lekin ab google ne 1 June 2021 se apni service me thoda badalav kiya hai, jisse aap Google per 15GB tak ka data hi storage karke rakh sakenge. Jisme google photos, Gmail, drive, sabhi service count ki jayegi.

Gmail Free Storage Ek Sath Clean Up Kaise Kare?


Gmail Free service hai, isliye iske upper hazaro tarah ke faltu mails with attachment aate hai or ye apke Gmail data ko jaldi full kar dete hai.

Gmail Per Faltu Mail Kyu Aate hai?


Jab aap kisi social media accounts, website, third party service per register karte hai to ve Terms and conditions ka hawala dekar apke Gmail per promotion wale mail bhejti hai. Isliye bina kaam ki websites/forms me apna Gmail account share naa kare.

Gmail Storage Ko Clean Up Ke Tarike:


Gmail ke storage ko aap do tarah se clean kar sakte hai. Ya to aap sare mail ek sath delete kar de. Ya fir ek ek karke mail ko select karke delete kare, lekin isme kaafi samay ki barbadi hogi isliye me apko isse bhi easy way btane ja rha hu.

Pdf & file rokti hai sabse jada space:

Gmail me sabse jada jo chiz storage ko rokti hai, apko unhe Target karna hai or fir agar vo apke kaam ki nhi hai to unhe delete kar dena hai jisse aap jaldi se Gmail ko storage free kar skte ho or ye sirf 2 minutes ka kaam hai.

Kaise Gmail Storage Ko Free Kare?


Step 1


Sabse pehle mobile me Gmail account login karke ye SEARCH kare :  “has:attachment larger:1M”

Step 2 


Isko search karne per apke samne 1MB se jada ke attachment wale mail open honge, aap chahe to 1 MB ki jagah 5 ya 10MB bhi likh ke search kar sakte hai.

Step 3


Aap aise jada storage attachments wale mail ko ek ek karke delete kar de. Or iske baad me mail ke TRASH box me se bhi un sabhi items ko delete kar de, jisse apke sare badi size ke mail delete ho jayege. Apka Gmail storage free ho jayega.

Ummid hai apko ye trick pasand aayi hogi, agar apka sawal hai to niche comment karke jarur btaye, muje apki madam karke khusi hogi

No comments:

Powered by Blogger.