Free Online Donation Kaise Prapt Kare? Crowd Funding Platform In India

Dosto, Bharat me kul abadi ke 36 krod log aise hai jo garibi rekha se niche jivan gujar rahe hai. Lockdown or corona jese sankat ke samy unki halat or bhi khraab hui. Aise me kai donation Sansthan unki madad karne ka Nek kaam kar rahi hai. Bharat me online donation ek naya trend hai. 


Vese india me donation prapt karna ek muskil kaam bhi hai kyoki yaha aamiro ki sankya simit hai. Lekin online donation ek naya concept hai jisse koi bhi NGO / Individual person fund raise kar skta hai.


Online Donation Prapt Karne Ke 3 Solid Tips:


1) Proof Ke Sath Present Kare:

Jab bhi aap online donation jama kare to har chiz ka proof apke paas hona chahiye varna online donation lene wale per kanuni karywahi ho sakti hai.


2) Online Donation Strong Reason:

Aapke paas ek majbut karan hona chahiye, jisse ki aap asani se donor ko samja sake ki aap online donation ke paiso ka kaha istemaal karne wale hai.


3) Story Telling For Donation:

Jis kaam ke liye donation mang rahe hai usko ek story me present kare, taki donation karne wale ke dil tak apki baat pahuche. Lekin fake story ya baate naa kare, kyoki Online Donation fundraising me apke har point ko verify kiya jata hai. Agar kuch bhi wrong/fake hua to fas sakte ho.

Ye chize apko online donation prapt karne me kaafi madad karegi. Lekin ab baat karte hai ki online donation kaha se prapt kare? To apko bta de ki india me kai aisi website/Portal hai jo free donation fund dilwane me help karte hai.(online donation)


Online Donation Prapt Karne Ki Free Website:


1) Ketto

Ketto ek online crowdfunding indian platform hai, Iski Shuruaat saal 2012 me Varun Sheth ne ki thi. Ye website medical healthcare, disaster relief, social problems me individual person, entrepreneur ko fund dilane ka kaam karti hai. Website per sign up free me hota hai. Jo log apko fund donation ke rup me dete hai vo sidha apko bank me mil jata hai.


2) Milaap

Ye ab tak ka sabse bada largest free donation platform hai. Jaha se charity, NGO, any person fund raise karwa sakta hai. Aap iske uper free me account banakar fund raise karwa sakte hai.


Dosto iske alawa bhi kai aise platform or tarike hai, jisse aap online donation prapt kar skte hai. Jese ki Social media etc.

Online Donation Prapt karna aasan bhi hai lekin apko iske liye acche se prepared rehna hota hai.

Ummid hai apko ye jankari upyogi lagi hogi. Sujav ya sawal hai to comment karke! Apki madad karke muje khusi hogi.

No comments:

Powered by Blogger.