Blogging Ke Liye Trending Topic Kaha Se Dhundhe?
Pure world me kaafi log blogging karte hai, blogging me success hone ke liye do chize kaafi mayne rakhti hai.
1) Trending Topic2) Traffic
Apko blog future me kitna grow karega ye blog niche (topic) per depand karta hai lekin sabse jada challenge wali chiz hoti hai ki blog per post likhne ke liye trending topic kaha se dhundhe. Aaj me apko kuch secret tips dene wala hun, jaha se jadatar blogger trending topic find karte hai.
1) Google Trends:
Google trends ek aisi website hai, google per search hone wale data ko analyse karke hume jankari deti hai ki konsa topic sabse jada baar google per users ke dwara search kiya jaa raha hai.
Google trend ke fayde;
1) Jis country ka data chahiye vo mil skta hai.
2) Daily ki Search query available hoti hai
3) Real-Time Trends Search kar skte hai.
4) User friendly hai.
2) Quora:
Isko aap facebook ki tarah social media keh sakte hai. yaha koi bhi vykti apne questions puchta hai or koi bhi uska jawab de skta hai. Yaha apko lagbhag har sawal ka satik jawab mil jayega.
Quora ke benefit:
1) Yaha Jadatar logo ki alag query hoti hai, jiske uper post bna sakte hai.
2) Quora se blog per traffic laya ja sakta hai.
3) Yaha bahut se expert sawalo ke jawab dete hai.
3) Youtube Trending:
Duniya ka dusra sabse adhik search kiya jane wala youtube blogger ke liye ashirvad saman hai kyoki yaha apko trending videos ka option mil jaata hai.
Youtube trending ki help se aap video ko blog topic me change kar sakte hai, ye kaafi easy method hai. Mene jo apko ye 3 method batyi hai ye kafi upyogi hai, yadi jankari pasnd aayi ho to comment karke jarur batana!
Bahut hi acchi jankari di apane nice post
ReplyDelete