Google Keyword Planner Ki Help Se Free Quality Post Kaise Likhe ?





Blog ki quality post apko google me high ranking de Sakti hai, humne bohat blogs pe quality post ke bare me padha hai, lekin ye post Ko Blogger me free kaise likhe ? Kyoki dosto seo ko Agar humko Sanjana hai , to iske liye humko best quality post banani hogi, tabhi humari ranking badegi.

Blogger me seo friendly post Kaise Likhe, koi ideas,keyword planner






       Kya apne kabhi ye note Kiya hai, ki apke blog me kuch post ke page views kam time me jada milte hai, or dusri taraf Kuch post jo purani hai , lekin view's kam hai.

     Jante ho ,dosto aiesa kyo hota hai ? Kyoki apko seo ki jankari na hote hue bhi apne anjane vo post me low compition keywords use kiye hote hai, matlb ki anjane me aap ek best quality content create kar lete ho.





    Lekin jab apko ye sab samaj me ati hai , to her post quality content produce ho jati hai. Phele ye samjo ki keywords Ko Kaise Use karna hoga, kyoki high value keywords to apko boaht mil jaynge, Lekin vo keywords ki Apki post ke sath kya connection hai ?

   Humko yehi samjne ki jarurat hai ,ki keywords kya hai ? Apki Jo post hai, usko humko agar ek word me bolna hai, to vo jo word hai ,vohi apke content ka keyword hai. Baaki jo aap dusri keyword Ko search karke post likhte ho, vo sab bekaar hai.


   Blogger Ko right keywords Ko apni post me Kaise use karna hota hai , jisse ki post ki ranking & cost per click Ko badhaya ja sake ye sab jankari btane ja raha hu.


Google Keywords Planner

Se Quality Post Kaise Likhe ?







    Google Keyword tool advertiser's ke liye bana hai. advertiser apne products Ko promote karne ke liye AdWords ka upyog karte hai. Iska sabse bda benefit ye hai ki , keyword Planner free tool hai , yaha apko jo Keywords blog me dalne hai , uski bid value bta chal jayegi.matlb advertiser konse keyword par kitna bid lagate hai vo sab ki jankari mill jati hai. Sirf itna hi nhi hum jo Keyword use kar rahe hai uska koi substitute keyword bhi pta Laga kar uski value pata kar sakte hai. Pro Blogger bhi keyword search karne ke liye AdWords ki salah dete hai.


    Chaliye dosto apko btata hu ki Kaise , hum google keyword Planner Ko use karke quality post bana sakte hai ?





1)) Sabse phele AdWords.google.com par jaye.

2)) Link open karne ke baad apko Sign Up karna hoga.

3)) Iske baad Apko TOOlS option pe click karna hai.

4)) Ab keywords idea me jo - jo Keyword search karna hai , vo find Kare.

5)) Apko apke keywords se related dusre keywords ideas show honge. Yaha apko keyword monthly search volume , Bid value, compition ki jankari mil jayegi.

6)) Ab jo Keyword ki value acchi ho , Lekin compition Low ho, vaise keywords Ko apko Apne blog me use karna hai.

7)) Koi bhi ek high ranking keywords Ko jayda baar post me likhna nhi hai, Varna Apki post search engine se hide ho jayegi

   Google Keyword Tools Ko Blog Post Me Likhne Se Kya Fayda Hoga ?





Apki Post Ki Ranking Increase Hogi.

√ Cost per click (cpc) Bhi Increase Ho Jayegi

√ Blog Me Original Traffic Ana Suru Ho Jayega

√ Free Me Keyword Research.


Apko humare topic se Jude koi Sawal hai , to hume comment karke puch sakte ho. Humari Post Acchi lagi , ho to Iske Share karna na bhule , kyoki

"Apki Sharing Hi Humari Carrying Hai"

No comments:

Powered by Blogger.