Blogger.com Ke Benefits Jo Her Ek Blogger Ko Janne Chaiye





Blogger beginners ke liye best platform hai yaha se hum free website building basic shikh sakte hai bina kisi investment ke, ise me google gift tool kehna chaunga kyoki all probloggers like shoutmeloud.com ,allteachbuzz.net ne yahi se suraat ki thi apne blogging career ki or aaj sare top indian bloggers list me samil hai.



What is blogging ?

Sidhe sabdo me kahu to blogging ek tool hai jisse informative jankari logo ko internet per uplabhd karana hai , or sath me advertising karke online income bhi kmana hai.

Blogging Kaise Chalu Kare ?




First of all agar ap new hai to Blogger. Com per blogging ki starting karo kyoki iske Jo fayde hai bo dusre platforms se alag hai, Agar apko internet ka bilkul knowledge nhi hai to bhi ap blogging shikh kar best income source create kar sakte hai

Blogger.com Ke Benefit -


Free Service - blogger google ki free service hai sathi user friendly website builder hone se new blogger ko yaha se bohat kuch shikhne milta hai.

Free Hosting - blogger per apko koi hosting lene ki jarurat nhi hoti hai.Google free me hosting provide karta hai or humare data ko server me save karta hai ,dusri or agar ap WordPress jaise platform per hosting leni padti hai

Seo Friendly - ye google ki free service hone se automatically search engine optimization hota hai.blog ko google counselor me submit karne ke jarurat nhi hoti hai.In short apka blog google friendly hota hai




Blogger Free Template - 

Blogger me free templates available hoti hai jisko ap apne hisaab se edit kar sakte ho iske shivaye ap 3rd party free template use kar sakte ho

Mobile Friendly -

Blogger seo & mobile friendly hone se mobile user bhi easily apke blog ko dekh sakte hai.apko jayda coding ke knowledge ki koi jarurat nhi hai jab ap blogger ko ache se samaj le uske baad apko WordPress jaise platform per blog ko shift kar de.


Income From AdSense -

AdSense ek great income source hai,jab apke blog pe daily 200-300 traffic ho tab apko AdSense ke liye apply karna chaiye , AdSense approve ho Jane ke baad apke blog per google advertise ane lag jayenge , jitna jayda apka traffic hoga utni apki income increase hoti jaygi. Ek anumaan se agar apke blog pe 1000 visitors ate hai to apki average income 1$ tak hogi lekin ye sab apke content per depand karta hai iske alawa ap bidvertiser ke ads bhi blog per lga kar paisa kama sakte ho

Also Read- Alternative Of Adsense Bidvertiser Ke ads Blog Me kaise lgaye?

Jaruri nhi hai ki blog ko handle karne ke liye apke paas desktop ho ,Ap meri terha mobile se bi blogger ko handle kar sakte hai. Mobile se blogger ko use karne ke liye apke pas android phone / tablet hona chaiye.OK ab jante hai ki kaise mobile se blogging kare or Paise Kmaye.

Capability Of Android Phone -
1) Minimun 1GB Ram
2) 8 GB Internal Memory


Mene phele ek post me apko btaya tha ki kaise hum mobile se blog ko handle kare ab me vo android apps ke bare me jankari dene ja raha hu Jo apko blogger.com per faydemand honge.



Useful Android App For Mobile Blogging -






1) Blogger 

√ Is app ki help se ap offline post likh sakoge
√Post ke Bich me photo ko easily add kar sakte hai
√ Post me dusre blog page ki link add kar sakte ho
√ Blogger app low data connection me bhi work karti hai

                    Download Blogger app

2) Quick Edit -

Mobile blogger ki sabse badi problem ye hoti hai ki ve blog template ko mobile se edit kaise kare ? Iska solution sirf quick edit app hai
Quick edit bohat hi important app hai ye app ki help se hum blog template ko edit kar sakte hai.

√ Quick edit se hum template ke words ko find kar sakte hai

√ Template credit link ko remove kar sakte hai

√ Meta tag ko asani se template me add kar sakte hai

√ Iske sath bohat so editing kar apne hisaab se template set kar sakte hai

                   Download Quick Edit





3) Picsay Pro Editor -

Photo editing ke liye PicSay pro best editor hai.

√ Pics say pro Kam Mb ki app hai Jo mobile ko hang nhi hone deti hai

√ Ye app blogger ke liye useful hai isme vo editing tools hai Jo screenshots ko asani se edit kar samjya ja sakta hai

                 Download Picssay Pro App


4) AdSense App -

AdSense app ki help se hum AdSense earning, CPC ,Rpm etc ko dekh sakte hai

√ Apko baar baar AdSense.com per Jane ki jarurat nhi padti hai

√ Konsi ads se jayda click mill rahi hai hai , click chart jaise feature is app me available hai

              Download AdSense App


5) RaR App -




Mobile blogger Jo new hai unko template upload karne me bohat hi problem hoti hai.Jab bhi ap koi free/paid blogger template download karte ho tab vo file rar category wali hoti hai jisko XML me convert karna pasta hai.or ye rar app ki help se hum easily template ko XML me convert kar upload kar sakte hai.Mobile se blogger template kaise upload kare , is bare me phale hi post likh chuka hu.ap chahe to meri post yaha se padh sakte ho

                 Download Rar App




Dosto ap uper btayi app ka use karoge to blogger per asani se blogging kar sakoge. Apko ye post pasand aye to share jarur kare

No comments:

Powered by Blogger.