Youtube Video Ki Search Ranking Kaise Badhaye {1001% Working Trick}

Youtube duniya ka sabse big or 2nd search engine hai. Video creators ke liye youtube search engine game changer ka kaam karta hain. Youtube ki video ko rank karna kaafi bahut jaruri hai. Lekin isse pahle Video creators ko isko samjhna jaruri hai. Agar aap meri is post ko dhyan se pura padhte ho to me daave ke sath kahta hu ki aap easliy youtube video ki search ranking badha sakte ho. 

To Aaj me bina samay barbaad kiye apko badi hi bariki se is baat ko batane wala hu. Ek baat dhyan rahe ki koi creators apko aise jankari share nhi karega jo me aap sabhi video creators ko share karne jaa rahe hu. Or sabse badi baat ye mera personal experience bhi hai.


Youtube Video Ki Ranking Kaise Badhaye?

1) Target Keyword:

Keyword vo word hai jo apki kisi video ka main topic hai. Ab badi bariki se isko samjte hai.

For Ex: Aap ek video bnane ka plan kar rahe hai. 

Topic hai "WHAT IS TERM INSURANCE?" 

Isme aap youtube viewers ko term insurance kya hai iski jankari share kar rahe hain. Matlab term insurance apka main keyword hua. Ab jab aap is video ko create kare tab apka pura focus main topic "TERM INSURANCE" per hona chahiye. Aap video publish karne ke sath Video description or keyword me yahi keyword ko lekar thodi short information use kare. isse video ki ranking boost hoti hai or jab koi user YouTube per Term Insurance ki jankari search karega tab apki video bhi show hogi.

2) Watch Time:

Youtube video ko rank karne me watch time sabse bada role play karta hai. Agar aapki video ka thumbnail mast hoga, contact bhi ok hoga lekin youtube viewers apki Video ko lamba nhi dekhte hai to video rank nhi hogi. Or kuch time baad youtube bhi viewers ko vo Video suggest nhi Karega. Kyoki watch time kam aane per youtube ki AI Technology ye samjati hai ki Video me logo ko jyada interest nhi hai isliye aise video per ads bhi limited hi aate hai. Isliye apne watch time ko badhne ki koshish hi apki YouTube search ranking ko increase karta hai.

Jab aap youtube per koi bhi keyword search karte hai or jo first Number per video show hoti hai uski ranking jada hone ke pichhe watch time ka hi hath hota hai to usko badana bahut jaruri hai. Bhle hi apki video per lakho views ho lekin agar usko log pura ya atleast 50% tak nhi dekha jata to vo YouTube search ranking me kabhi nhi aa sakta.

Watch Time Kaise Increase Kare?

A) Video bhle short me banaye lekin informative hona chahiye. 

B) Video me main topic se hatkar dusri baate na kare.

C) All over logo ko bore ya irritate naa hone de.

D) Topic se related har baat cover kare.

3) Engagement:

Most of log engagement ko watch time kehte hai or ye sahi bhi hai. Lekin me youtube engagement me kuch or point add kar rha hu jo youtube video ki ranking ko boost karte hain.

Aap dekhna jis Keyword ko aap youtube me search karte hai usme jo first number per video show hoti hai uske upper jada likes comments dekhne ko milte hai jo uski ranking ka mukhya karan hai.

Youtube Video Engagement 4 Parameters: 

A) Likes 

B) Comments

D) Subscribe

E) Share

Apko youtube video ranking ke liye uper ke 4 Parameters per focus karna hoga. Atleast apka viewers inme se 2 ko follow jarur kare to apki ranking ko increase hone se koi nhi rok sakta. Lekin apko aisi video bnani hai jisse ki users samne se apke video ko like, comment, subscribe ya share kare.

Ex: Jo bhi youtube ki trending ya viral video hoti hai vo isi vajah se Trending list me aati hai or sabse jada sharing hoti hai.

4) Focus on duration:

Log video ko duration ke hisaab se bhi dekhte hai.

For Ex: Topic hai " WHAT IS TERM INSURANCE?"

Jab koi user ye keyword search karta hai or apki video usko result me show hoti hai to vo apki video ke time (duration) per bhi focus karega. Agar aap TERM INSURANCE ko samjhane ke liye 15 minutes ki video bana lete hai to apki video ko jaldi choose nhi kiya jayega. Kyoki ye baat aap maximum 2-3 minutes me explain kar sakte ho.

Isliye topic ke hisaab se duration bahut matter krta hai hai.

5) Activeness:

Agar aap youtube per regular apne channel ko update rkhte hai. Video create karte hai to iska matlab aap active hai or active channel ki videos ko jada recommand kiya jata hai. Activeness ka matlab ye nhi hai Roj hi video bnaye lekin atleast apko 1-2 Week ya month me kuch videos jarur share karne chahiye. Activeness ka matlab aapko users ke comments ka reply bhi dena hai. Ye sab factor video Search ranking karne me helpful hain.


To dosto muje ummid hai ki apko youtube videos ki search ranking kaise badhaye ye acche se samaj aa gya hoga. Koi sawal hai to niche comments karke jarur btaye.

No comments:

Powered by Blogger.