Free Me Apne Business Ki Sales Kaise Badhaye?

Business ke liye sales dil ki thakdan saman hai. Apki products market me bikna jaruri hai. Sales ke bina business kuch bhi nhi hai. 



Agar aap bhi apne business ki growth karna chahte hai to is Post ko pura jarur padhe, kyoki isme apko Free me business ki sales ko kaise badhaye iski puri jankari dene jaa raha hu. 

Ye jankari kam or mera experience jada hai isliye aapko bariki se samjane wala hu.

FREE APNE BUSINESS KI SALES KAISE BADHAYE?

Agar aap kisi product ko market me bechna chah rahe, uski sales badhana chahte hai to iska sabse 1st step hai potential clients ko search karna, jinko apke products ki humesha jarurt rehti ho. Ab sawal aata hai ki kese aise customer khoje, joki apke sales ko bada sake.


1) Social Media: 

Aaj ke time me social media sabse bada tool hai, joki apke business sales ko bada sakta hai, expand kar skta hai.

Social media ki bahut category hai jese Facebook, Instagram, online group etc.

Aapne dekha hoga ki Facebook per kai business se related groups or pages hote hai jisme lakho log shamil hote hai. Usme aap join ho sakte hai or vaha daily apke products ki photo ke sath details ko share kare, jisko apke products me interest hoga vo apko direct contact kar hi lega. 

Thik aisa aap dusre social media platforms instagram per bhi kar sakate hai. Aap apne products ka demo video banva kar use insta or fb me share kare, vaha se bhi kaafi accha business mill jata hai.


2) Internet Research :

Aap aise customer ka data search kare, jo ki apke product ka istemaal karte ho,. Aise logo se email, phone call se contact kare.

For example agar aap hawai chhapal manufacturing karte hai to apke sales ko badhane ke liye wholesalers ko contact karna hoga joki footwear sell karte hai. Thik aise aap apne products ke liye bhi potential clients khoje.

Aise customer apko kaha milege:

A) Google my business

B) IndiaMART, Trade india etc.

C) Facebook Business Group etc.


3) Apni Website Banakar:

Aapke business ki websites jarur banaye kyoki vaha se kaafi inquiry mil sakti hai. Aaj kal kaafi asani se website/blog ban sakte hai. Free me apni website kaise bnaye to meri is Post ko aap padhiye.


4) Data Service Providers:

Upper ke teeno tarike aap free me apply kar sakte hai, lekin isme apko thoda paisa kharch Karna padega, lekin apki mehnat kam ho jayegi. Aap aise customer ka data kharid sakte hai jo bulk me apke products ko regular buy karte hai. Isme apko Rs 1000 me 100 aise customer ka data milta hai jisme unke phone number, email, company name, address jaisi jankari hoti hai. Yaha se bhi apko bina kuch mehnat ke business mill skta hai. Joki apki sales ko badha sakta hai.

Agar aap data services se fast business growth

Chahte hai to is form ko bharkar submit kar de.

Form bhare

To dosto is article me maine apko free me apne business ki sales kaise badhaye iski jankari di, agar koi sawal hai to niche comments karke jarur btaye.

No comments:

Powered by Blogger.