Hum Dukhi Kyu Hote Hain?
Kya aap kisi karan se dukhi hai to ye post apke dukh ko halka kar skti hai. Kisi mahan vykti ne ek baat kahi thi ki insan jitna dusro se dukhi nhi hota, utna vo khud se dukhi hota hai, matlab ki apke dukh ka karan aap khud hi hai. Ab aap sochege esa kaise?
Ex: Agar apko koi gaadi deta hai to jahir si baat hai ki aapko bura lagega lekin aap us gaadi ko apne aap se jod dete hai isliye apko bura lag rha hai. Kehne wale ne keh diya parntu uske kehne se aap vese nhi ho jaate hain. kyoki dimag samne wale ka kharab hai aap kyu dukhi hokar apne dimag ko khraab kar rahe ho?
HUM DUKHI KYU HAIN?
hum dukhi kyu hote hain? |
1) Humari Ashaye Adhik Hain.
Kya aap jante hai 99% log sirf apni icchao/ ashao ki vajah se dukhi hai. ye bilkul sach hai paani ki tarah. Jab aap kisi vykti/vastu se asha rakhte hai or jab chize apki iccha ke anusaar nhi hoti to aap dukhi ho jate hai. isliye apko khud per nirbhar rehna hoga ya fir esi ashao ko chod dena hoga. tab aap dekhenge ki apko kisi chiz ka dukh nhi hoga. kyoki aapne kisi se koi asha nhi rkhi hai. aap bandhan se dur ho chuke hai. Ramayana or mahabharat bhi yahi kehta hai. Pandavo ya korvo ko yadi rajy prapt karne ki asha naa hoti to kya yudh hota? Nhi hota na..
2) Sabhi Per Vishwas karna.
Apko sabhi per vishwas nhi karna chahiye. Kuch log apni gupt baate jese. (Ghar me chal rahe kalah) ki baate bahari vykti ko apna samaj kar bta dete hai. sochte hai ki isse unka man halka ho. Lekin jis vykti ko aap apni antrik baate bta rahe hai kya vo apka bhala sochta hai, Ho skta hai ki Jab apki us vykti se anban hogi to vo apki baato ko kisi ko bhi bata de. Apki koi kamjori usko pata chal jaye or ho sakta hai ki us baat ka vo asani se galat fayda bhi utha le. isliye apni Antrik bato ko gupt hi rakhe or har kisi per bharosa naa kare. bhale hi vo apka accha dost, patni, girlfriend ya boyfriend hi kyu naa ho.
3) Dimag Me Faltu Baate Chalna.
Kai logo ko choti choti bate buri lag jaati hai. ve jaldi gussa ho jate hai. Ho sakta hai ki ye adat apko aage chalkar nuksan karen. kyoki gusse me vykti galat fesle bhi le leta hain. Apka dimag apka sabse accha ghar hai usme faltu chizo ko naa bhare, varna aap apne kaam me man nhi lga sakege. Jab apke dimag faltu baate/choti choti bate jese usne muje vo bola, mara vagre vagre.. apko dukhi bana deti hai. Ye chiz apke antrik dimag or bahari sarir ko bhi sukha deti hai.
4) Dhokha Khana.
Mera manna hai ki dhokha milna dukh nhi balki anubhav hain jisko paise se koi nhi kharid sakta. Aapko khus hona chahiye kyoki apko bhaut jaldi kisi insaan ke bare me pta chal gya. Dhokhe ka ek karan ummide bhi hai isliye to mene apko first point me hi bta diya tha ki ashaye kisi se mat rkho.
5) Ummid Se Kam Milna.
Kuch insan ummid se kam milne se dukhi ho jate hai. Jese exam me kam marks, business me profit, thng ki nokri na milna or bahut si duniya bhar ki ummide. Lekin aap ye kyu nhi sochte ki apko to itna bhi mila hai. Duniya me ese log bhi ji rahe hai jinko apke jitna bhi nhi mila or sayd vo apse jada khus hai. Dekho insaan ki icchao ki koi SIMA nhi hai. isliye Jisko 1 crore ka profit hota hai vo 2 crore bnane ki sochta hai or jab 2 crore hota to 3 crore bnane ki sochta hai. Or Badi baat ye hai ki, ye sisila kbhi khatm hi nhi hota..
Dosto ye kuch bade karan the jo mene apko btaye ki Hum Dukhi kyu hote hain? or ye karan itne saare ki likhte likhte hath dukh jaye. Agar Ek Shabd me kahu to humari ICCHAYE / Kisi Ko Pane Ki Asha hi hume dukhi karti rehti hai. Jis din aap apni saari ashao ko tyag kar sirf apne kaam ko karenge tab aap jada sukhi honge kyoki us samay apne koi target nhi fix kiya hoga ki muje itna profit kamana hai ya itne marks laane hai etc..
To Khus raho or mast raho kyoki jo hona hai vo hoga apko kya fark pdta hai, kya dukhi hone se vo chize badal sakti hai jo ho chuki hai?? Nhi na to bhad me jaye sab aap to bus hathi ki chaal chalte raho. Ishwar ne duniya banayi hai to vo karta rahega use jo karna hai aap kyu dukhi ho.
Is Post ko padhne ke liye apka dil se sukriya. Agar apka koi Niji sawal hain to iche comment karke puch sakte ho ya fir muje direct mmahendra904@gmail.com per mail kare salah le sakte ho. Muje apki madad karke khusi hogi.
Thank You.
No comments: