Uc news top popular browser hai, jaha daily millions log use karte hai, agar aap uc browser use karte hai , to apko pata hoga ki uc browser me menu me news / article flash hote rahte hai. agar humare blog ke quality content post bhi uc browser me flash hone lag jaye , to humko apne blog pe bohat sara traffic uc news se mill jayega , so ye ek best option ho sakta hai, Apne blog ke traffic ko boost karna easy ho jayega. sirf itna hi nhi uc news se mere blog ka traffic 400% improve ho gya hai, or yehi karan hai ki me apko blog ko uc news me submit karne ki baat kah raha hu.
Actually uc browser bhi popular e-commerce website alibaba.com ka hissa hai. uc news hindi blog ko bhi support karta hai , so hindi blogger ke liye ye khushi ki baat hai. uc news me website/blog ko submit karne ke bohat se benefit hai , jo me apko batane ja raha hu.
Agar blog ke traffic ki baat ki jaye to uc news bohat hi popular tool hai , jiski help se hum blog ka traffic jaldi bada sakte hai. blogger ke liye uc news ek best traffic booster tool saabit ho sakta hai.
blog ko uc news me sabmit kaise karna hai , vo hum apko ye post me batane ja rahe hai. friends uc news new concept and free tool hai. uc news pe blog ko submit karne se apko blogging me success milne ke chance bhi bad jate hai. uc news me post share karne se aapki income bhi increase hogi, kyoki agar aap uc news ke liye koi post share karte ho, to apko ad monitization ke trough income honi suru ho jayegi.
Uc News Me Blog Ko Submit Karne Ke Kya Fayde Hai ?
1] Uc news backlink se 100% Sure apke blog ka traffic badega
2] Apke blog ki popularity increase hogi, new visitor's bhi milege.
3] Blog ranking pe bhi koi effect nhi padega, apka adsense account bhi safe rahega.
4] Uc news me jab koi apki post ko read karega , to vaha bhi ads click se apko extra income milegi.
5] sabse bada benefit ye hoga , ki apko free me traffic ke sath sath extra revenue hoga.
How To Submit My Blog In Uc Web News ?
Step-1
Sabse phele mp.ucweb.com ko open kare , vaha apko sign up button me click karna hai.
Step-2
1) apna e-mail address enter kre
2) safe password dale
3) now password re-enter kare
4) verification slide complete karo
5) Accept Terms & conditions
6) continue select kare
Step-3
Ab apko email verification karna hai, jisme apko uc news ki or se mail milega . usme link ke through verify karna hai
Step-4
E-mail verify hone ke baad ek new tab me apko account type select karna hai.
Personal Account - agar apka blog personal hai, means agar self honsted blog hai , to personal select kare
Organization Account - agar apke blog pe ek se jayda author hai , to ye option select karna hai.
Step-5
(1) Uc news profile photo set kare
(2) Apne blog ka name add karo
(3) Select your Blog Category select
(4) Account Operator ka naam enter karna hai.
(5) Pan Card number enter kare ( required)
(6) Country Code and mobile number
(7) Blog/site link add karna hai
(8) Service tax number ( not necessary)
(9) Accept agreement
(10) click on continue
Step-6
Ye sab step hone ke baad apka uc news ki taraf se mail milega , jisme ye btaya gya hoga ki apki appliction review ho rahi hai. Apki application accept hote hai apko kuch hours me confirmation ka mail mill jayega. kabhi-kabhi 1-2 days bhi lag sakte hai.
finally uc news application approve hote hi apke blog ki sabhi post uc news me index hone lag jayegi. jab koi user apki post ko uc news pe read karega , to uske end me apke blog ki link hogi.
friends apko uc news se related koi questions hoto comment me puch sakte ho.
Uc News Me Blog Ko Submit Kar Blog Ki Traffic Ko Kaise Badaye ?
Reviewed by
Mahendra Mali
on
January 16, 2017
Rating:
5
Sir no.4 account opreter name me kiska name add karna he
ReplyDeleteAccount Operator Me Apka name Likhna hai.
ReplyDeleteMahendra bhai bahut badiya janakri
ReplyDeletePan number ni h & mera post kon kon dekh skra h
ReplyDeleteapne parents ka pan number use karo
ReplyDelete