Akhir Kyu Apke Blog Pe Traffic Nhi Aaraha Hai ?
Blog me traffic Ke liye Sabi Blogger ko kdi mehnat karni padti hai,blogging ek Vo income source hai , jaha apko her samay kuch new content share karna hota hai.
•High quality content produce karna hota hai,
•Honestly people ko sahi guidelines se information share karni hoti hai.
Lekin ye sab karne ke Baad bhi Blogger ko website pe traffic Ke liye problems ka Samna karna hota hai.
Mene kuch reasons ko note kiya hai Jo traffic generate karne me helpful hote hai.
Agar English Blogger bhi ho , to unhe bhi high traffic Ke liye problems ko jelna padta hai.
Blog Me Traffic Nhi Milne Ke Important Reason -
Agar aap beginner hai, to ek baat ko note karle ki blog ko 1 din koi bi famous Blogger nhi ban jata hai , uske liye apko vo information share karni hoti hai , Jo internet pe bohat hi kam available hai, ya fir jis content ki demand jayda hai. To chaliye baat karte hai, ki blog me traffic increase Na hone ke Reasons..
1) Content -
Friends koi bi blog ka main adhar content pe hota hai , Agar ap best guidelines, information Apne blog me share karte hai. Jo ki actual me logo ke liye helpful hai. To visitors apke blog ki other post me interest lenge , sirf itna hi nhi ve apse or jayda jankari ki iccha bi karenge.
Iske alawa blog me high content produce karne se Google me apki post Top search me ane lag jayegi. Issliye aap Jo blog content likhte ho ,vo ye soch kar write kare ki Google ek insaan hai ,Jo apki her movement pe njar rakhta hai.
2) Seo friendly design -
Apka blog search engine friendly rakhne Ke liye mobile friendly template/theme ka use Kre, Jisse low internet speed me bhi blog easily open ho ske.
Blog me kam widget ka upyog Kre jisse website loading time decrease ho jayga.
Agar Seo friendly template nhi use karoge to log apke blog pe jayda time tak nhi rukenge..Ye sab to apke sath bi hota hi hoga.
3) Google Webmaster -
Apne blog ko abi tak Webmaster me submit nhi kiya hai to kar le, kyoki ho sakta hai Google apke blog ki sabi post ko search results me Na show kre. Vese to blogger google seo friendly hi hota hai. Lekin ye ek reason se blog me traffic nhi milta hai.
4) Menu Tab -
Menu button se hum blog ko category wise labels lga sakte hai.Vistors ko Apne hisaab se article ko search karne me asani hoti hai
Menu tab ko Blogger me Kaise add kare iski jankari yaha hai.
5) Keywords -
Blog me keywords use karna apke traffic ko increase kar sakta hai, lekin Website me use kiye gye jayda keywords apki post ko search engine se hta sakte hai.
Blog ki post me 2℅ se jayda ek keywords Ka use Na kre..
6) Wrong Information -
Blogger traffic ko badne Ke liye wrong guideline dete hai, lekin vo ye baat bhul jate hai ki jab unki tricks work nhi karti to visitor apki post ko ignore kar dete hai , joki apki future post per effect karta hai.
7) Behaviour -
Naturally Sabi ka behaviour different type ka hota hai, Visitors apse koi jankari Lene ki kosis karta hai. Or vo apko koi sawal puchta hai jiska answer ap bohat logo ko de chuke hai. Fir bi ek Blogger ko beginner ko jawab Dena chahiye, kyoki uske liye vo chiz new hai. Bohat baar log bi apke sath rude behaviour kar sakte hai , lekin apko Apne behaviour ko change nhi karna hai
Apke behaviour se apke blog ki prestige increase hoti hai , log apse open mindly sawal puchta hai.
Must Read- India Cpc Rate Low Kyu Hoti Hai ?
Must Read- India Cpc Rate Low Kyu Hoti Hai ?
8) Social Media -
Ye vo network hai ,Jo apke blog pe 50℅ Traffic generate kar sakta hai , kyoki world me 75℅ se bi jayda log social Media se Jude rahte hai. Facebook-Twitter-Insta pe Apne Blogging Se related page,group Bnaye.
Blog me fb like box add kre. Agar apka traffic social media se ayega to bhi ap Adsense se earnin kar sakte hai.
Dosto apko Apne blog se related koi bi sawal ho , to ap Hume puch sakte ho.
Tag line- Blogger me traffic Kaise laye, fast traffic ideas, Income from Adsense,hindi me jankari,website pe traffic badane ki tricks,how to attract visitors.
No comments: