Mobile Kharidne Se Phele In Bato Ka Dhyan Rakhe





Mobile Kharidne Se Phele In Bato Jarur Janle -

Kya ap mobile kharidne ja rahe hai to meri btayi bato ko acche se samaj le jisse ap kam price me best mobile purchase kar sakte ho.
Aye din bazaar me mobile, laptop gedget ate rehte hai or advertising karne ke liye company look pe jada dhyan deti hai, khas kar new company ese me buyers company ki bato me aker fake advertisement wale phone purchase kar lete hai.baad me pta chalta hai ki mobile android supported nhi hai,chaliye ab topic pe ate hai





Top mobile cheap rate me





Mobile purchase karne se phele in bato ka khyal rakhe-



1) Ram -(Random Access Memory)-

Phele apko bta du ram hoti kya hai, ram mobile ki speed boost karti hai apka mobile kitna speed se chalta hai ye sab ram ke uper depand hota hai.
Kam ram hone pe mobile hang hoga or aap ek se jada app open karoge tab error ayegi (Ex-"unfortunately yourapp is stopped")
Issliye phone me ram minimum 1GB Ho ye jaruri hai.or isse kam ram wale phone bilkul na kharide.



2) Internal Memory -

Phone me internal memory card minimum 4GB Se 8GB tak hona chaiye.
Kyoki phone me bohat se internal app space rok lete hai jisme 1 GB space block ho jata hai
Dusra reason ye bi hai ki ap bina external memory lgaye phone ko use kar sakte hai.matlb apke memory card ke paise ki bachat ho jati hai



3) Operating System -

Mobile ka Operating system latest ho jisse hume behter experience mill sake
Or app ko esally run kro ske.



4) Battery Backup -

Agar aap mobile internet ka use jayda karte hai to battery backup pe jayda dhyan de.long life battery back-up  baar baar charging ki problem ka solution hai.
Mobile lene se phele battery mAH check kre, 3000-4000 mAH wali battery best hoti hai jo pure 24 hours ka backup deti hai



5) Screen Size -

Aap mobile me videos dekhna jayda pasand karte ho to screen size me compromize na kare,
Minimum 5.5" Inch ka screen size ho ye jaruri hai



6) Camera Quality -

Agar ap travelling karte hai or apne mobile me high quality ke photo capture karne ke liye phone purchase kar rahe ho to camera 13 MP ka hona chaiye
Front camera bi minium 3-5 mp hona chaiye



7) Brand -

Ap ye soch rahe honge ki me brand ko last me kyu bta raha hu, lekin agar apko ye sab features koi phone me mill rahe to apko deri nhi karni chaiye kyoki ye sab features agar ap branded phone me dekhoge to unki price bohat hi high hogi, kabi kabi branded phone bi itna accha performance nhi de pate hai jitna dusre company ke phone.
Issliye her bar branded phone kharide ke chakker me paisa barbaad na kare or kam kimat me best features wale sell phone use karne pe believe kro

Search keywords- low cost mobile in india,android tips,low budget phone sefty tips,free internet,best smartphone kaise kharide.

No comments:

Powered by Blogger.