Paani Me Bhig Jaye Phone To Turant Aajmaye Ye Upaay

Barish ke mousam me phone bhigne ka dar sabse jada rehta hai. Isliye log plastic bag me phone rakhte hai lekin iske bavjud phone me Paani chala jata hain. Agar apke sath bhi aisa hi kuch hua hai to chinta naa kare. Kyoki aaj hum apko vo karishmayi tarika btane wale hai jisse bina repair ke apka phone chalu ho sakta hai. To chaliye jante hai ki Paani me bhigne ke baad phone kaise chalu kiya jaye.

Mobile ko paani se dur rakhna bahut jaruri hai iske liye apko in baato ka jarur dhyan rkhna chahiye jese ki-

1) Mobile ko shirt ki pocket me rakhne se bache kyoki jukne per phone paani me gir sakta hai.

2) Khas kar barish ke mousam me jab bhi ghar se nikle to ek plastic ki bag jaruri rakhe. Jisse emergency me phone ko bag me rakha ja sake.

3) Phone ko chote baccho se dur rakhe.

4) Kaam Karte samay phone ka istemaal naa kare.

5) Khaskar bathroom me phone lekar jane se bachhe.


Phone paani me gir jaye to kya hoga?

Agar phone paani me gir jaye to ye kafi khtranaak bhi ho sakta hai. Phone ki circuit board khrab ho sakti hai. Ye Mobile phone ki battery ko nuksan kar sakta hai. 


Paani me bhig jaye phone to turant aajmaye ye upay-

1) Agar apka phone paani me gir jaye ya phone me Paani chala jaye to ghabarye bina phone ko paani se bahar nikale.

2) Sabse phele phone ko turant switch off karne ki kosis kare. Dusri key ko touch naa kare. Uske baad phone ko sukhe mulayam ya cottton kapde se pouche, saaf kare.

3) Iske baad phone ki battery, sim, memory card sab bahar nikal ke sukha de. ( Agar phone ki non removable hai to short circuit lag sakta hain)

4) Phone ke anadar ke paani ko sukhana bahut jaruri hai. Iske liye aap ek bartan me chawal (rise) lekar usme phone ko dabakar rakh de. ( Chawal paani ko jaldi soukhne ka kaam karte hai)

5) Kam se kam 5-8 ghante tak phone ko chawal me hi rehne de. Agar isse kaam nhi banta hai to dusra Tarika bhi try kar skte hai jo mene niche btaya hain.

6) Jab apka phone pura sukh jaye tab isme sim, battery, memory card sabhi ko insert karke ON kare. (70% case me Phone automatically thik ho hi jata hai) lekin iske bavjud kuch problem ho rahi hai to iska matalab hai ki Paani ne apke phone ke kisi part ka nuksaan kiya hai. Isliye apko Mobile repairing shop se contact karna hoga.


Tarika No.2

Agar chawal me daalne ke bavjud apka mobile kaam nhi karta hai to aap mobile ki accessories ko nikal kar usko dhup me sukhane ke liye rakh sakte hai. Lekin dhyan rahe ki jada samay tak dhup me phone naa rakhe. Isko kam tapman wali dhup me 1-2 ghante tak sukha kar rakhe. Kyoki isse heating ki vajah se phone jaldi sukh jata hain.


Phone paani me gir jaye to ye kabhi naa kare-

Agar apka phone paani me gir jaye to dryer ka upyog nahi karna hai kyoki vo bahut heating deta hai jisse phone ko nuksan ho sakta hai.

Search Keyword- barish me phone bhig jaye to kya kare, phone paani me gire to, phone me Paani chala gya to kaya karen !

No comments:

Powered by Blogger.